|
vo jaate hai.n aatii hai qayaamat kii sahar aaj
rotaa hai duaao.n se gale milake asar aaj
[Daag Dehlvi]
hotii nahii.n qubuul duaa tark-e-ishq kii
dil chaahataa na ho to duaa me.n asar kahaa.N
[Altaf Husain Hali]
[tark = give up]
maa.Ngaa kare.nge ab se duaa hijr-e-yaar kii
aaKhir ko dushmanii hai duaa ko asar ke saath
[Momin]
[hijr = separation]
sunate hai.n ki mil jaatii hai har chiiz duaa se
ek roz tumhe.n maa.Ng ke dekhe.nge Khudaa se
[Rana Akbarabadi]
sab kuchh Khudaa se maa.Ng liyaa tujh ko maa.Ng kar
uThate nahii.n hai.n haath mere is duaa ke baad
[Aga Hashr]
maa.Nge.nge ab duaa ki use bhuul jaaye.n ham
lekin jo vo baavaqt-e-duaa yaad aa gayaa
[Khumaar Barabankvi]
[baavaqt = at the time of]
mujh ko ye aitaraaf duaao.n me.n hai asar
jaae.n na arsh par jo duaae.n to kyaa kare.n
[Akhtar Sheerani]
[aitaraaf = admission/confession; arsh = sky/seventh heaven]
aaKhir ko_ii umiid-e-asar bhii duaa ke baad
kuchh aap bhii kahe.n merii iltijaa ke baad
[Fani Badayuni]
is kaa gilaa nahii.n ki duaa be-asar ga_ii
ik aah kii thii vo bhii kahii.n jaa ke mar ga_ii
[Tilokchand Mehroom]
hatheliyo.n kii duaa phuul le ke aa_ii ho
kabhii to ra.ng mere haath kaa hinaa_ii ho
[Parveen Shaakir]
yuu.N tujh ko iKhtiyaar hai, taasiir de na de
dast-e-duaa ham aaj uThaae.n hue to hai.n
[Majaz]
[iKhtiyaar = control; taasiir = effect; dast = hands]
arsh se ho ke jo maayuus duaae.n aa_ii.n
mai.n ye samajhaa ki mere ghar me.n balaae.n aa_ii.n
[Jigar Moradabadi]
[arsh = ; maayuus = disappointed]
marane kii duaae.n kyo.n maa.Nguu, jiine kii tamannaa kaun kare
ye duniyaa ho yaa vo duniyaa, ab Khvaahish-e-duniyaa kaun kare
[Moin Ahasan Jazbi]
[Khvaahish = desire]
kiijiye aur ko_ii zulm agar zid hai yahii.n
liijiye, aur merii lab pe duaae.n aa_ii.n
[Jigar Moradabadi]
marzii-e-yaar ke Khilaaf na ho
log mere liye duaa na kare.n
[Hasrat Mohani]
[marzii = consent; Khilaaf = oppose]
lamhaat-e-yaad-e-yaar ko sarf-e-duaa na kar
aate hai.n zi.ndagii me.n ye aalam kabhii kabhii
[Shakeel Badayuni]
[lamhaat-e-yaad-e-yaar = moment spent in remembering one's beloved]
[sarf-e-duaa = waste in prayer; aalam = situation]
ik terii tamannaa ne kuchh aisaa navaazaa hai
maa.Ngi hii nahii.n jaatii ab ko_ii duaa ham se
[Ejaz Kamravi]
tum salaamat raho hazaar baras
har baras ke din ho pachaas hazaar
[Mirza Ghalib]
|
|