hinaa

Home | Index of Topics


chand maasuum se patto.n kaa lahuu hai "Faakir"
jis ko mahabuub ke haatho.n kii hinaa kahate hai.n
[Sudarshan Fakir]
 

 
na mere zaKhm khile hai.n na teraa rang-e-hinaa
mausam aaye hii nahii.n ab ke gulaabo.n vaale
[Ahmed Faraz]  

 
zaKhm-e-tanhaa_ii me.n Khushbuu-e-hinaa kis kii thii
saayaa diivaar pe meraa thaa sadaa kis kii thii
[Muzaffar Warsi]  

 
kyaa surmaa-bharii aa.Nkho.n se aa.Nsuu nahii.n bahate
kyaa mehandii lage haatho.n se maatam nahii.n hotaa
[Riaz Khairabadi]

[maatam = mourning]
 

 
Khuu.n hai dil Khaak me.n ahvaal-e-butaa.N par yaanii
un ke naaKhuun hue mohataaj-e-hinaa mere baad
[Mirza Ghalib]

[ahvaal =state/condition; naaKhuun = nails; mohataaj = need/want]
 

 
hatheliyo.n kii du_aa phuul ban ke aa_ii ho
kabhii to rang mere haath kaa hinaa_ii ho
[Parveen Shakir]
 

 
gulaabii paa.Nv mere champa_ii banaane ko
kisii ne sahan me.n mehandii baa.D ugaa_ii ho
[Parveen Shakir]
 

 
tere tohfe to sab achchhe hai.n magar mauj-e-bahaar
ab ke mere liye Khushbuu-e-hinaa aa_ii ho
[Parveen Shakir]

[tohfaa = gift]
 

 
khil uThe gul yaa khile dast-e-hinaa_ii tere
har taraf tuu hai to phir teraa pataa kis se kare.n
[Mallikzada Manzoor]
 

 
yaar thaa gulazaar thaa baad-e-sabaa thii mai.n na thaa
laayaq-e-paa-bos-e-jaa.N kyaa hinaa thii mai.n na thaa
[Zafar]

[laayaq-e-paa-bos-e-jaa.N = worthy of kissing beloved's feet]
 

 
haath kyo.n baa.Ndhe mere chhallaa agar chorii huaa
ye saraapaa shoKhii-e-rang-e-hinaa thii mai.n na thaa
[Zafar]

[saraapaa = from head to toe]
 

 
Daal kar Khaak mere Khuun pe qaatil ne kahaa
kuchh ye mehandii nahii.n merii ke miTaa bhii na sakuu.N
[Ameer Minai]
 

 
mai.n bhii palako.n pe sajaa luu.Ngaa lahuu kii buu.Nde.n
tum bhii paabastaa-e-zanjiir-e-hinaa ho jaanaa
[Ahmed Faraz]
 

 
arz-e-dakkan me.n jaan to dilli me.n dil banii
aur shahar laKhanau me.n hinaa ban ga_ii Gazal
[Ganesh Bihari Tarz]
 

 
vo aa.Nkho.n me.n kaajal vo baalo.n me.n gajaraa
hathelii pe us ke hinaa mahakii mahakii
[Hasrat Jaipuri]
 

 
sabt huu.N dast-e-Khaamoshii pe hinaa kii suurat
naa-shuniidaa hii sahii teraa kahaa huu.N mai.n bhii
[Mazhar Imam]

[sabt = inscribed; dast = hand; naa-shuniidaa = unheard]
 

 
vo haath paraaye ho bhii gaye ab duur kaa rishtaa hai "Qaisar"
aatii hai merii tanhaa_ii me.n Khushbuu-e-hinaa dhiire dhiire
[Qaiser ul Jafri]
 

 
mehandii mere lahuu kii mubaarak ho aap ko
rang-e-hinaa is me.n hai aur buu-e-vafaa bhii hai
[Unknown]  

 
rang laatii hai hinaa patthar pe ghis jaane ke baad
surKh-ruu hotaa hai insaa.N Thokare.n khaane ke baad
[Unknown]

[surKh-ruu = successful]
 

 
na kar ab na bahaanaa taraash ke mai.n Khush huu.N
ke dil ka aaKhirii qatraa bhii tere kaam aayaa
[Ahmed Nadeem Qasmi]
 

 
hinaa kaa rang ye hargiz nahii.n hai sach bataa zaalim
ye kis ka phuul saa dil tuu ne paao.n se masal Daalaa
[Unknown]
 

 
mehandii ke vaaste vo lahuu maa.Ngate hai.n roz
dil denaa un ko jaan kaa be-naamaa ho gayaa
[Kaleem Aajiz]
 

 
diivaar-o-dar pe Khuun ke chhii.NTe jaa-ba-jaa
bikharaa huaa hai rang-e-hinaa tere shahar me.n
[Kaif Azeemabadi]
 

 
Khushbuu-e-hinaa kahanaa narmii-e-sabaa kahanaa
jo zaKhm mile tum ko phuulo.n kii qabaa kahanaa
[Kaif Azeemabadi]

[qabaa = long coat like garment]
 

 
hamaare qatl se qaatil ko tajarubaa ye huaa
lahuu lahuu bhii hai, mehandii bhii hai sharaab bhii hai
[Kaleem Aajiz]

[tajarubaa = experience]
 

 
shaamil hai meraa Khuun-e-jigar terii hinaa me.n
ye kam ho to ab Khuun-e-vafaa saath liye jaa
[Sahir Ludhianvi]
 

 

Home | Index of Topics
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.unwaan.com
Last updated on: 21st December, 2005