|
jaane vaale se mulaaqaat naa hone paa_ii
dil kii dil me.n hii rahii baat naa hone paa_ii
[Shakeel Badayuni]
kal raat zindagii se mulaaqaat ho ga_ii
lab tahr-tharaa rahe the magar baat ho ga_ii
[Shakeel Badayuni]
patthar hai tere haath me.n yaa ko_ii phuul hai
jab tuu qubuul hai teraa sab kuchh qubuul hai
phir tuune diyaa hai nayaa faisalaa mujhe
sar par abhii to pichhalii musaafat kii dhuul hai
tuu dil pe bojh leke mulaaqaat ko na aa
milanaa hai is tarah to bichha.Danaa qubuul hai
[Unknown]
ab kaun baat rah ga_ii ye baat bhii ga_ii
yaani kabhii kabhii kii mulaaqaat bhii ga_ii
[Mubarak Azeemabadi]
aaj to mil ke bhii na mile ho.n tujh se
chau.nk uThate the kabhii terii mulaaqaat se ham
[Jan Nissar Akhtar]
na jii bhar ke dekhaa na kuchh baat kii
ba.Dii aarazuu thii mulaaqaat kii
[Bashir Badr]
mai.n ne maanaa ke mujhe un se muhabbat na rahii
ham_nashii.n phir bhii mulaaqaat se jii Darataa hai
[Hasan Naeem]
beqaraarii thii sab ummiid-e-mulaaqaat ke saath
ab vo agalii sii daraazii shab-e-hijraa.N me.n nahii.n
[Altaf Husain Hali]
ye ek shab kii mulaaqaat bhii Ganiimat hai
kise hai kal kii Khabar tho.Dii duur saath chalo
[Ahmed Faraz]
munhasir vaqt-e-muqarrar pe mulaaqaat hu_ii
aaj ye aap kii jaanib se na_ii baat hu_ii
[Hasrat Mohani]
kahaa.N vo shoKh mulaaqaat Khud se bhii na hu_ii
bas ek baar hu_ii aur phir kabhii na hu_ii
[Jigar Moradabadi]
us ne kahaa itanii mulaaqaat bahut hai
mai.n ne kahaa ruk jaao abhii raat bahut hai
aa.Nsuu mere tham jaaye.n to phir shauq ke jaanaa
aise me.n kahaa.N jaaoge barasaat bahuut hai
[Unknown]
uzr aane me.n bhii hai aur bulaate bhii nahii.n
baa_is-e-tark-e-mulaaqaat bataate bhii nahii.n
[Daag Dehlvi]
huuro.ns e na hogii ye madaaraat kisii kii
yaad aayegii jannat me.n mulaaqaat kisii kii
[Bekhud Dehlvi]
chaa.Nd nikalaa thaa magar raat na thii pahalii sii
ye mulaaqaat, mulaaqaat na thii pahalii sii
rang kuchh kam to huaa aaj tere milane se
ye alag baat ke vo baat na thii pahalii sii
[Nasir Kazmi]
kaise kah duu.N ki mulaaqaat nahii.n hotii hai
roz milate hai.n magar baat nahii.n hotii hai
[Shakeel Badayuni]
musaafir hai.n ham bhii musaafir ho tum bhii
kisii mo.D pe phir mulaaqaat hogii
[Bashir Badr]
dil me.n hai mulaaqaat kii Khvaahish kii dabii aag
mehandii lage haatho.n ko chhupaa kar kahaa.N rakhuu.N
[Kishwar Naheed]
"Nadeem" jo bhii mulaaqaat thii adhuurii thii
ki ek chehare ke piichhe hazaar chehare the
[Ahmed Nadeem Qasmi]
har mulaaqaat kaa anjaam judaa_ii kyuu.N hai
ab to har vaqt yahii baat sataatii hai hame.n
[Shahryar]
tujh se mil kar hame.n ronaa thaa bahut ronaa thaa
tangii-e-vaqt-e-mulaaqaat ne rone na diiyaa
[Sudarshan Faakir]
|
|