tasavvur

Home | Index of Topics


jii Dhuu.NDataa hai phir vahii fursat ke raat din
baiThe rahe.n tasavvur-e-jaanaa.N kiye hue
[Mirza Ghalib]
 

 
shaam se un ke tasavvur kaa nashaa thaa itanaa
niind aa_ii hai to aa.Nkho.n ne buraa maanaa hai
[Unknown]
 

 
ye hangaamaa-e-tajdiid-e-vaa
merii afsurdaa javaanii ko raas nahii.n
mai.n ne jo phuul chune the tere qadamo.n ke liye
un kaa dhundhalaa saa tasavvur bhii mere paas nahii.n
[Sahir Ludhianvi]
 

 
ta.Dape.nge terii yaad me.n ghabaraaye.nge tanhaa
ai dost kisii taur na jii paaye.nge tanhaa
jiine kaa akele to tasavvur bhii nahii.n hai
ham tujh se judaa ho.nge to mar jaaye.nge tanhaa
[Irfan 'Abid']
 

 
thii ek shaKhs ke tasavvur se
ab vo raanaa_ii-e-Khayaal kahaa.N
[Mirza Ghalib]
 

 
yuu.N barasatii hai.n tasavvur me.n puraanii yaade.n
jaise barasaat me.n rim_jhim me.n samaa.N hotaa hai
[Qateel Shifai]
 

 
ham band kiye aa.Nkh tasavvur me.n pa.De hai.n
aise me.n ko_ii chham se jo aa jaaye to kyaa ho
[Riaz Khairabadi]
 

 
achchhaa hai sar_angusht-e-hinaa_ii kaa tasavvur
dil me.n nazar aatii to hai ek buund lahuu kii
[Mirza Ghalib]
 

 
jo bahut duur thaa aaj baaho.n me.n hai
jo tasavvur me.n thaa vo nigaaho.n me.n hai
[Unknown]
 

 
kuchh nazar nahii.n aataa un ke tasavvur ke sivaa
hasarat-e-diidaar ne aa.Nkho.n ko andhaa kar diyaa
[Unknown]
 

 
hairaa.N hue na the jo tasavvur me.n bhii kabhii
tasviir ho gaye merii tasviir dekh kar
[Unknown]
 

 
phir nazar me.n phuul lahake dil me.n phir shamaye.n jalii.n
phir tasavvur ne liyaa us bazm me.n jaane kaa naam
[Faiz Ahmed Faiz]
 

 
raat bhar un kaa tasavvur dil ko ta.Dapaataa rahaa
ek naqshaa saamane aataa rahaa jaataa raahaa
[Akhtar Shirani]
 

 
mile.n shaam ko aasmaa.N aur zamii.n
tasavvur me.n mil le.nge ham bhii kahii.n
[Unknown]
 

 
chale jaayiye mujh se daaman bachaakar
tasavvur se bach kar kahaa.N jaayiyegaa
[Unknown]
 

 
terii yaad hai yaa teraa tasavvur
kabhii 'Daag' ko ham ne tanhaa na dekhaa
[Daag Dehlvi]
 

 
tasavvur me.n udhar vo aa rahe hai.n
ishar dil hai ki baiThaa jaa rahaa hai
[Sirajul Hasan Siraj]
 

 
tuu yaad aaye tere jaur-o-sitam phir bhii na yaad aaye
tasavvur me.n ye maasuumii ba.Dii mushkil se aatii hai
[Firaq Gorakhpuri]
 

 
do gha.Dii dil ke bahalane kaa sahaaraa bhii gayaa
liijiye aaj tasavvur me.n bhii tanhaa_ii hai
[Manzar Lucknavi]
 

 
ai zauq-e-nazaaraa kyaa kahiye nazaro.n me.n ko_ii suurat hii nahii.n
ai zauq-e-tasavvur kyaa kiije ham suurat-e-jaanaa.N bhuul gaye
[Majaz]
 

 
tuune dekhii hai vo peshaanii vo rukhsaar vo ho.nTh
zaindagii un ke tasavvur me.n guzaarii ham ne
[Faiz Ahmed Faiz]
 

 
un kaa zikr un kaa tasavvur un kii yaad
kaT rahii hai zindagii aaraam se
[Mahashar Badayuni]
 

 
gum niind kii aagosh me.n hone nahii.n detaa
raato.n ko tasavvur teraa sone nahii.n detaa
[Arzoo Lucknawi]
 

 
khul nahii.n sakatii hai.n ab aa.Nkhe.n merii
jii me.n ye kis kaa tasavvur aa gayaa
[Khwaja Mir Dard]
 

 
aa.Nsuu nikal rahe hai.n ban ke tasavvur me.n phuul
shaadaab ho rahaa hai gulistaan-e-aarazuu
[Akhtar Shirani]
 

 

Home | Index of Topics
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.unwaan.com
Last updated on: 21st December, 2005