sakuut-e-shaam miTaao bahut a.Ndheraa hai
sakuut-e-shaam miTaao bahut a.Ndheraa hai
suKhan kii shamaa jalaao bahut a.Ndheraa hai
[sakuut=silence]
dayaar-e-Gam me.n dil-e-beqaraar chhuuT gayaa
sambhal ke Dhuu.DHane jaao bahut a.Ndheraa hai
ye raat vo ke suujhe jahaa.N na haath ko haath
Khayaalo duur na jaao bahut a.Ndheraa hai
laTo.n ko chehare pe Daale vo so rahaa hai kahii.n
zayaa-e-ruKh ko churaao bahut a.Ndheraa hai
[zayaa=radiance]
havaaye.N niim shabii ho.n ki chaadar-e-a.njum
naq aab ruKh se uThaao bahut a.Ndheraa hai
[niim shabii=midnight; chaadar-e-a.njum=sheet of stars]
shab-e-siyaah me.n gum ho ga_ii hai raah-e-hayaat
qadam sambhal ke uThaao bahut a.Ndheraa hai
guzashtaa ahd kii yaado.n ko phir karo taazaa
bujhe chiraaG jalaao nahut a.Ndheraa hai
[gu zashtaa=past]
thii ek uchakatii hu_ii nii.nd zi.ndagii usakii
'Firaq' ko na jagaao bahut a.Ndheraa hai
[uchakatii=disturbed]
|