Home | Index of Poets Firaq Gorakhpuri

ab aksar chup-chup se rahe hai.n yuu.N hii kabhuu lab khole hai.n


ab aksar chup-chup se rahe hai.n yuu.N hii kabhuu lab khole hai.n 
pahale "Firaq" ko dekhaa hotaa ab to bahut kam bole hai.n 

din me.n ham ko dekhane vaalo apane apane hai.n auqaat 
jaao na tum in Khusk aa.Nkho.n par ham raato.n ko ro le hai.n 

fitarat merii ishq-o-muhabbat qismat merii tanhaa_ii 
kahane kii naubat hii na aa_ii ham bhii kasuu ke ho le hai.n 

baaG me.n vo Khvaab-aavar aalam mauj-e-sabaa ke ishaaro.n par 
Daalii Daalii nauras patte sahas sahaj jab Dole hai.n 

uf vo labo.n par mauj-e-tabassum jaise karavaTe.n le.n kau.nde.n 
haay vo aalam jumbish-e-mizagaa.N jab fitne par tole hai.n 

in raato.n ko hariim-e-naaz kaa ik aalam hoye hai nadiim 
khalvat me.n vo narm u.ngaliyaa.N ba.nd-e-qabaa jab khole hai.n 

[hariim-e-naaz=; khalvat=solitude; ba.nd-e-qabaa=buttons of the dress] 

Gam kaa fasaanaa sunane vaalo aaKhir-e-shab aaraam karo 
kal ye kahaanii phir chhe.De.nge ham bhii zaraa ab so le hai.n 

[aaKhir-e-shab=end of night] 

ham log ab to paraaye se hai.n kuchh to bataao haal-e-"Firaq" 
ab to tumhii.n ko pyaar kare hai.n ab to tumhii.n se bole hai.n 

Home | Index of Poets Firaq Gorakhpuri
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 16th October, 2001