Home | Index of Poets Firaq Gorakhpuri

ai jazb-e-nihaa.N aur ko_ii hai ke vahii hai


ai jazb-e-nihaa.N aur ko_ii hai ke vahii hai 
Khilavat-kadaa-e-dil me.n aavaaz hu_ii hai 

kah de to zaraa sar tere daaman me.n chhipaa luu.N 
aur yuu.N to muqaddar me.n mere be-vatanii hai 

vo ra.ng ho yaa buu ho ke baad-e-saharii ho 
ai baaG-e-jahaa.N jo bhii yahaa.N hai safarii hai 

ye baarish-e-a.nvar ye ra.ngiini-e-guftaar 
gul-baarii-o-gul-sairii-o-gul-pairahanii hai 

ai zi.ndagii-e-ishq me.n samajhaa nahii.n tujh ko 
jannat bhii jahannum bhii ye kyaa buulajabii hai 

hai nutq jise chuumane ke vaaste betaab 
sau baat kii ik baat terii be-sakhunii hai 

mauje.n hai.n mai-e-surKh kii yaa khaTT-e-dahan hai.n 
lab hai ki ko_ii sholaa-e-barq-e-ambii hai 

jaage hai.n "Firaq" aaj Gam-e-hijaraa.N me.n taa-subah 
aahistaa se aa jaao abhii aa.Nkh lagii hai 

Home | Index of Poets Firaq Gorakhpuri
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 16th October, 2001