Home | Index of Poets Firaq Gorakhpuri

na jaanaa aaj tak kyaa shai Khushii hai


na jaanaa aaj tak kyaa shai Khushii hai
hamaarii zindagii bhii zindagii hai

[shai = thing/object]

tere Gam se shikaayat-sii rahii hai
mujhe sach-much ba.Dii sharmindagii hai

mohabbat me.n kabhii sochaa hai yuu.N bhii
ki tujh se dostii yaa dushamanii hai

ko_ii dam kaa huu.N mehamaa.N muu.Nh na phero
abhii aa.Nkho.n me.n kuchh kuchh roshanii hai

[ko_ii = some/few more (kuchh)]

zamaanaa zulm mujh par kar rahaa hai
tum aisaa kar sako to baat bhii hai

jhalak maasuumiyo.n me.n shoKhiyo.n kii
bahut rangiin terii saadagii hai

ise sun lo sabab is kaa na puuchho
mujhe tum se mohabbat ho ga_ii hai

[sabab = reason]

sunaa hai ik nagar hai aa.Nsuo.n kaa
usii kaa dusaraa naam aa.Nkh bhii hai

vahii terii mohabbat kii kahaanii
jo kuchh bhuulii hu_ii kuchh yaad bhii hai

tumhaaraa zikr aayaa ittefaaqan
na biga.Do baat par baat aa ga_ii hai

Home | Index of Poets Firaq Gorakhpuri
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 16th October, 2001