terii talaash me.n ham jab kabhii nikalate hai.n
terii talaash me.n ham jab kabhii nikalate hai.n
ik ajanabii kii tarah raaste badalate hai.n
daraaz ho Gam-e-hijraa.N ki haasil-e-hijraa.N
vo hausale.n hai.n jo aaGosh-e-Gam me.n palate hai.n
[daraaz = long; haasil-e-hijraa.N = result of separation]
[aaGosh = embrace]
ravaa nahii.n hai Gam-e-ishq is qadar bhii Garuur
tere baGair bhii duniyaa ke kaam chalate hai.n
[ravaa = proper; Garuur = pride]
kabhii jo had se ba.Dhii un kii yaad to samajhe
ki un ke dil me.n bhii kuchh val_vale machalate hai.n
shab-e-firaaq kuchh aisii bhii tiiragii to nahii.n
kabhii kabhii sar-e-mizgaa.N charaaG jalate hai.n
[shab-e-firaaq = night of separation; tiiragii = darkness]
[sar-e-mizgaa.N = on the eyelashes]
ab un ke Gam se bhii maharuum ho na jaaye.n kabhii
vo jaanate hai.n ki is Gam se dil bahalate hai.n
[maharuum = deprived]
|